Tuesday, July 17, 2012

"Poetry NAZM PUBLISHED IN "PANKHUDI " JULY-SEPT 2012 EDITION (RUDARPUR)"


1)   "chand mujhe lauta do na.."

Chanda se jharti
jhilmil rashmiyo'n ke beech
ek adhuri makhmali si
khwaish ka sunahra badan
holey se sulga do naa
in palko'n me'n jo thitki hai
us subah ko apni aahat se
ek baar zraa alsaa do naa
bechain umango ka driya
pal pal angdaai leta hai
aakar fir sehlaa do naa
chu kar ke apni sanso se
mere hisse kaa chand kabhi
mujhko bhi lauta do naa!!! 


2)  "Naseeb"

kuch sitaare
machal ke jis pahar
raat ke husn pe dastak dein
nigodi chandni bhi ljaakar
samunder ki baahon me aa simte
hvaon ki sard odhni
bikhre drakhton ke shaane pe
us waqt tu chaand ban
falak ki siddhi se fisal jaana
chupke se meri htheli par
vo naseeb likh jaana
jiski chahat me maine
chand sanson ka jakhira
jism ke sannate mey
chupa rakha hai.....